Kabhi kabhi esa hota ki ek insaan kuch alag karne jata hai to use dusre jan samuhon ke virodh ka samana karna padta hai. Lekin agar wahi ek insan apni baat pe adig raha aur peeche nahi hata to yahi jan samuh uske anuyayi ho jate hain. Ye kahi kahi hota hai aaj bhi lekin ab jyadatar jo karan hai bahot sare jan samoohon k anuyayi banne ka, vo yahi hai ki log ese aasan samajhte hain. Ek nayi soch lane aur naya raasta dhundhne se log ye behtar samjhte hai ki koi readymade ek vichar de de ya ek raasta hi bta de. Logo k paas aajkal sochne ka waqt nahi hai jisse ki unki thought process affected huyi hain . Aajkal logo ka waqt jyada devices k liye use hota hai aur sabke pass apne apne reasons hote hain. Ek insaan jabtk mobile ya laptop ya tv k pass hota hai tabtk thought process life ke liye create nahi ho pate hain. Insan ka sabse bada shatru es mamle me mobile hai. Aajkal mobile me jyada se jyada followers bnane ki bhi daur lagi rehti hai. Jiske jitne followers vo itna khud ko bada samjhta hai fir chaahe vo Twitter ho , instagram ho ya tiktok etc. Digital Followers k paas kabhi kabhi apne reasons hote hain to kabhi bina reason hi bas follow kar lete hain.
Ese kabtk log bina samjhe boojhe follow karte rahenge aur kabtk apni zindgi ko dusron k hawale karte rahenge. Uparwale ne aankhen kyun di hai agar duniya dusron ki aankhon se hi dekhna hai to.
No comments:
Post a Comment